Raghupati Sahay who is famous by his pen name Firaq Gorakhpuri was one of the greatest contemporary poets of Urdu from India. He always had a lot of inclination towards literature. Firaq Gorakhpuri presents the beauty and simplicity that Urdu language holds by his intricate yet beautiful couplets and shayaris.

He is one of the most influential language experts of his time and here we bring to you a few of his greatest words:

#1.

Kho diya tumko toh hum  puchte firte hain yahi, Jis ki taqdeer bigad jaaye  woh kya karta hai.

#2.

Koi aaya na aayega lekin, Kya karein gar naa  intezaar karein.

#3.

Tabiyat apni ghabraati hai  jab sunsaan raaton mein, Hum aise mein teri yaadon  ki chaadar taan lete hain.

#4.

Tere aane ki kya ummeid magar, Kaise keh doon ki intezaar nahin.

#5.

Tum mukhatib bhi ho kareeb bhi ho, Tum ko dekhein ki tum se baat karein.

#6.

Devtaaon ka khuda se hoga kaam, Aadmi ko aadmi darkaar hai.

#7.

Main hoon, dil hai, tanhaai hai, Tum bhi hote toh accha hota.

#8.

Hum se kya ho saka mohabbat mein, Khair tum ne toh bewafaai ki.

#9.

Raat bhi, neein bhi, kahaani bhi, Haaye kya cheez hai jawaani bhi.

#10.

Yeh maana zindagi hai chaar din ki, Bahut hote hain yaaron chaar din bhi.

#11.

Tu yaad aaya, tere jaur-o-sitam  lekin na yaad aaye, Mohabbat mein yeh maasoomi  badi mushkil se aati hai.

#12.

Bahut pehle se unn kadmon  ki aahat jaan lete hain, Tujhe ae zindagi hum door se  pehchaan lete hain.

#13.

Hazaar baar zamaana  idhar se guzra hai, Nayi nayi si hai kuch teri  rahgujar phir bhi.

#14.

Sar mein sauda bhi nahi dil  mein tamanna bhi nahi, Lekin  iss tark-e-mohabbat ka  bharosa bhi nahi.

#15.

Aaye the haste khelte  maikhane mein 'firaq' Jab pi  chuke sharab to sanjeeda  ho gaye.

#16.

Ab to unn ki yaad bhi aati nahin  Kitni tanha ho gai tanhaiyan.

#17.

Ek muddat se teri yaad  bhi aayi na humein Aur hum  bhul gaye hon tujhe  aisa bhi nahin.

#18.

Hum se kya ho saka mohabbat  mein Khair tum ne to bewafayi ki.

#19.

Jo uljhi thi kabhi aadam ke hathon  Woh gutthi aaj tak suljha raha hun.

#20.

Kum se kum maut se aisi mujhe  ummeid nahin Zindagi tu ne toh  dhoke pe diya hai dhokha.

#21.

Kaun ye le raha hai angdai  Asmanon ko neind aati hai.

#22.

Main der tak tujhe khud hi  na rokta lekin Tu jis ada se utha  hai usi ka rona hai.

#23.

Main muddaton jiya hun kisi  dost ke baġair Ab tum bhi saath  chhodne ko keh rahe ho khair.

#24.

Tum isse shikva samajh kar kis  liye sharma gaye Muddaton ke baad  dekha tha to aansu aa gaye.

#25.

Ye maana zindagi hai chaar  din ki Bahut hote hain yaaron  chaar din bhi.

#26.

Zindagi kya hai aaj ise aaye  dost Soch lein aur udaas  ho jaayein.

#27.

Zindagi mein jo ek kami si hai  Yeh zara si kami bahut hai miyan.

#28.

Shaam bhi thi dhuan dhuan husn  bhi tha udaas udaas Dil ko kayi  kahaniyan yaad si aa kar reh gayi.