Bashir Badr is a celebrated Indian Urdu artist. He has been granted with different awards for his commitment to the universe of dialects and verse. His ghazals basically demonstrate love, torment and the anguish that cherishing somebody brings. He is broadly known as one of the perceived and foremost donors in the realm of poetry for his perfect works of art.

We have a list of the absolute best couplets that he gave the world. These are no less than precious stones, read further and locate that extraordinary one which relates the best with you.

#1.

Aankhon mein raha dil  mein utaar kar nahi dekha,   Kashti ke musafir ne  samundar nahin dekha.

#2.

Aashiqui mein bahut  zaruri hai, Bewafayi kabhi kabhi karna.

#3.

Accha tumhare sheher ka  dastoor ho gaya, Jisko gale  laga liya wo durr ho gaya.

#4.

Agar talash karu toh mil  hi jayega, Magar tumhari  tarah kaun mujh ko chahega.

#5.

Ajeeb chiraag hun din  raat jalta rehta hun,  Main thak gaya hun hava  se kaho bujha de mujhe.

#6.

Ajeeb raat thi kal tum  bhi aa kar laut gaye,  Jab aa gaye the toh pal  bhar theher gaye hote.

#7.

Bohot dino se mere  saath thi magar kal shaam, Mujhe pata chala wo  kitni khoobsurat hai.

#8.

Bhool shayad bohot  badi karli,  Dil ne  duniya se dosti kar li.

#9.

Dil ki basti purani  dilli hai,  Jo bhi guzra  hai us ne loota hai.

#10.

Dil ujdi huyi ek saraye  ki tarah hai, Ab log yahan  raat jaagne nahi aate.

#11.

Dua karo ki yeh paudha  sada hara hi lage,  Udasiyon mein bhi chehra  khila khila hi lage.

#12.

Dushmani ka safar,  ek kadam, do kadam,  Tum bhi thak jaoge hum  bhi thak jayenge.

#13.

Ek aurat se wafa karne  ka yeh tohfa mila,  Jaane kitni auraton ki  bad-duaein saath hain.

#14.

Ghar naya, bartan naye,  kapde naye, Inn purane  kaghazon ka kya kare.

#15.

Hum dilli bhi ho aaye  lahore bhi ghume,  Aeyy yaar magar teri  gali teri gali hai.

#16.

Hum toh kuch der  hans bhi lete hain,  Dil humesha udaas  rehta hai.

#17.

Haseen toh aur hain  lekin koi kahan tujh sa,  Jo dil jalaye bohot phir  bhi dilruba hi lage.

#18.

Ijazat ho toh main ek  jhoot bolun, Mujhe duniya  se nafrat ho gayi hai.

#19.

Iss sheher ke badal  teri zulfon ki tarah hai,  Yeh aag lagate hain  bujhane nahi aate.

#20.

Isi liye toh yahan  ab bhi ajnabi hun main, Tamam log farishte  hain aadmi hun main.

#21.

Itni milti hai meri  ghazlon se surat teri,  Log tujh ko meri mehbooba  samajhte honge.

#22.

Jee bohot chahta hai  sach bolein, Kya karein hausla nahi hota.

#23.

Kayin sitaaron ko main  janta hun bachpan se,  Kahin bhi jaun mere  saath saath chalte hain.

#24.

Kabhi toh shaam  dhale apne ghar gaye hote,  Kisi ki aankh mein reh  kar sanvar gaye hote.

#25.

Ibadaton ki tarah main  yeh kaam karta hoon,  Mera usool hai pehle  salaam karta hoon.

#26.

Ajab haalaat the yun  dil ka sauda ho gaya aakhir,  Mohabaat ki haveli jis  tarah nilaam ho jaaye.