These quotes properly characterize how we fell when we were in love with somebody and have had our hearts broken by them. A broken heart is likely the most underrated thing on the planet. It brings you to the absolute rock bottom everyday and there is no looking back. Most of the time, individuals turn to sharing their emotions through words.

So here are a few quotes by Ambar Verman which will show you how difficult it is to move on after falling in love and getting your heart broken. Read further and let us know which quote did you like the most.

#1.

Ab zara bhi dastak na  do tum dil ke darwaze par,  Bamushkil maine apne  armaanon ko sulaaya hai.

#2.

Tumhari yaadein mitane  ke liye kal maine diary  jala di, Mujhe kya pata tha,  panne jal jaenge par tumhare kisse reh jaenge.

#3.

Wada kiya hai toh bhula  hi dunga tumhein kisi din,  Bas mujhe meri aakhri  saans tak ki mohallat de do.

#4.

Jab se khwabon mein  aane lage ho tum,  Khwabon mein jeena,  jeene sa lagne laga hai.

#5.

Koshish toh bahut  karta hun, Par ab kisi se tumhare jaisi mohabbat  nahi hoti.

#6.

Tumhare diye zakhm  bhi bahut azeez hain humein, Koi marham bhi lagane  aata hai toh hum mana  kar dete hain.

#7.

Tum mera naam lete  ho toh, Khud ke zinda  hone ka ehsaas hota hai, Kahin tumhari yeh khamoshi, Meri jaan na le le.

#8.

Agar insaan khud  ke khayalon ki tarah  nazar aate, Toh tum  aur hum hubabu  nazar aate.

#9.

Mere kamre ke sath-sath tumne, Mere uss gham ki bhi safai kar di, Jo mere dil ne mujhse bhi chipa rakha tha.

#10.

Jis kareene se laakhon  dafa maine Tumhara aur  mera naam ek sath likha  hai, Kash waise hi khuda  ne bhi ek bar Humara naam sath mein likh diya hota.

#11.

Koshish toh bahut  karta hun, Magar ab  kisi se tumhare jaisi  mohabbat nahi hoti.

#12.

Us baarish jab tumhare  hoothon  Ne mere hoothon  ko chua tha, Thodi tum mere paas chhut gayi thi, Thoda main tumhare paas reh  gaya tha.

#13.

Jinhein ishq ka ek  lafz bhi na aata tha,  Unhein hum ishq ki  kitaab tohfe mein  de baithe.

#14.

Shayari toh tum likh  jate ho khwabon mein,  Main toh sirf naqal  utaar deta hun.

#15.

Kal tak pasandeeda  cheezon ki  Fehrist bahut lambhi hua karti thi,  Tumse mulaqaat k baad  usme  Sirf ek tumhara  naam shamil hai.

#16.

Jo baatein koi dil mein  rehkar bhi na samajh  paya, Tum meelon door  hote huye bhi samajh  jate ho.

#17.

Kal raat phir tumse mulaqaat ho gayi, Zindagi ne toh humein door kar diya tha, Magar ek khwab ke zariye, Phir tumse meri baat ho gayi.

#18.

Tumhari aankhon ka ashq  ban raha hun main, Apni  aankhon mein hi chipa lo  mujhe, Aankhon se beh gaya  toh duniya ko dikh jaunga,  Main toh pehle se badnaam  tha, Phir tumhein bhi  badnaam kar jaunga.

#19.

Kal tak shole barsaati  thi jo beiman raatein,  Tumhare kadam padhte  hi shabnam barsaane  lagi hain.

#20.

Laakh koshishon ke baad bhi, Humara milna aakhri baar kyon nahi hota, Humein ek doosre se ishq, aaj ke ishq sa kyon nahi hota.

#21.

Shukr hai tumne  humse ishq kar liya,  Kitne behunar the hum, tumne hunarmand kar diya.

#22.

Bada keemti tha waqt  ka khaghaz, Magar use tumhare pyar mein  hi bhar diya.

#23.

Tumne tohfe mein diye  dard par, jaane kitne takke  ka byaaz lagaya hai,  Waqt ke sath bahut  tezi se badh raha hai.

#24.

Tum aksar kisi sard raat  si rooth jati ho, Phir tapte  sooraj sa pyar liye main tumhein manata hu, Pal bhar mein  tum masoom bachche ki tarah  apna gussa bhoolkar, Oos ki  boond si meri baahon mein  pighal jati ho.