Ever felt the enchantment of words? Ever read one line and felt like you have another purpose for your life? well, if the response is a yes, that is actually what individuals who read Nida Fazli’s words feel. He was a prestigious poet who gave individuals another point of view and direction to look at life. Nida sahab’s significant lines in every case left individuals stunned and that is the reason he is as still missed for making such masterpieces that individuals still post as statuses and captions.

Here are some of the best lines composed by him which perfectly sum up life.

#1.

Ab khushi hai naa koi dard rulane wala, Humne apne liya har rang zamane wala.

#2.

Hum labon se keh na  paaye unn se haal-e-dil kabhi, Aur vo samjhe nahin yeh khamoshi kya cheez hai.

#3.

Hosh valon ko khabar  kya bekhudi kya cheez hai,  Ishq kiije phir samjhiye  zindagi kya cheez hai.

#4.

Yahan kisi ko koi  rasta nahin deta,  Mujhe gira kar agar tum sambhal sako toh chalo.

#5.

Kis se puchun ki kahan  ghum hun kayi barson se,  Har jagah dhundhta phirta hai mujhe ghar mera.

#6.

Ab kisi se bhi shikayat  na rahi, Jaane kis kis se  gila tha pehle.

#7.

Apni marzi se kahan  apne safar ke hum hain,   Rukh havaon ka jidhar hai udhar ke hum hain.

#8.

Har ghadi khud se  ulajhna hai muqaddar  mera, Main hi kashti  hun mujhi mein hai  samandar mera.

#9.

Kabhi kisi ko muqammal jahan nahin milta,   Kahin zamin kahin  asmaan nahin milta.

#10.

Har ek baat ko  chup-chaap kyun suna jaaye,  Kabhi toh hausla kar ke nahin kaha jaye.

#11.

Pehle har cheez thi  apni magar ab lagta hai,  Apne hi ghar mein kisi  dusre ghar ke hum hain.

#12.

Kisi ke vaaste raahein  kahan badalti hain  Tum apne aap ko khud hi badal sako toh chalo.

#13.

Har aadmi mein hote  hain das bees aadmi,  Jis ko bhi dekhna ho  kayi baar dekhna.

#14.

Baaġh mein jaane  ke adab hua karte  hain Kisi titli ko na  phulon se udaya jaaye.

#15.

Bade bade gham khade huye the rasta roke rahon mein Chhoti chhoti  khushiyon se hi hum ne  dil ko shaad kiya.

#16.

Dhup mein niklo  ghataon mein naha kar  dekho Zindagi kya hai  kitabon ko hata kar dekho.

#17.

Be-naam sa ye dard  thahar kyun nahin jaata  Jo beet gaya hai vo guzar kyun nahin jaata.