There are a few occasions so near to our souls that they leave us with so many memories. Returning to those occurrences can evoke intense feelings. Tragic or cheerful, there are a few memories you can never eradicate from your mind.

Here are 16 shayaris, devoted to every one of those individuals who may never again be in our life, however the memory of them will never abandons us.

#1.

Chupke chupke raat din aansoo bahana yaad hai, Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai

#2.

Duniya mein hai kaam bahut, Mujhko itna yaad na aa

#3.

Dekhiye, ab na yaad aaiye aap, Aajkal aapse khafa hoon main

#4.

Hum bhool sake hain na tujhe bhool sakenge, Tu yaad rahega humein haan yaad rahega

#5.

Ek wahi shakhas mujhko yaad raha, Jisko samjha tha bhool jaunga

#6.

Kar raha tha gham-e-jahaan ka hisaab, Aaj tum yaad behisaab aaye

#7.

Kuch khabar hai tujhe O chain se sone waale, Raat bhar kaun teri yaad mein bedaar raha

#8.

Kuch log khayalon se chale jayein toh soyein, Beete huye din raat na yaad aayein toh soyein

#9.

Main jata hun dil ko tere paas chore, Meri yaad tujhko dilata rahega

#10.

Main kinaare pe khada hoon toh koi baat nahin, Behta rehta hai teri yaad ka dariya  mujh mein

#11.

Phir kisi ki yaad ne tadpa diya, Phir kaleja thaam kar  hum reh gaye

#12.

Tumne kiya na yaad kabhi bhool kar humein, Humne tumhari yaad mein sab kuch bhula diya

#13.

Tumhara naam aaya aur hum takne lage rasta, Tumhari yaad aai aur khidki khol di humne

#14.

Uski yaad aai hai saanson zara aahista chalo, Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal  padta hai

#15.

Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain, kisi bahane tumhe yaad karne lagte hain

#16.

Woh koi dost tha achche dino ka, Jo pichli raat se yaad aa raha hai