Rain and Romance go hand in hand. Though the rainy season can seem gloomy to some people, but it surely seems beautiful to people who are madly in love. People often turn to shayars and poets during the rainy season to describe the beautiful feelings that rain rekindles.

So, here we have compiled a list of some sweet, romantic, beautiful and funny moments that describe the feeling of enjoying the rainy season.

#1.

Baarish aur baarish mein  bheege uske baal, Dono hi sehat ke liye haanikarak hai.

#2.

Us baarish mein jab tumhare honthon ne, mere honthon ko chua tha, thodi tum mere paas  chhoot gai thi, thoda main tumhare  paas reh gaya tha.

#3.

Aaj phir pyaar ki barsaat hogi, magar wo kisi aur ke saath hogi.

#4.

Kuch yun magan ho kar bheeg rahi thi voh baarish ki inn boondon me, dekhar ehsaas hua ishq bhi kitni gehraai  se karti hogi.

#5.

Yeh mausam bhi aaj mera humdard ho raha hai. Meri tarah apne hi gham mein, dekho kaise ro raha hai.

#6.

Aaj kal mausam bhi sanam ke nakhro ki  tarah ho gaya hai, kabhi dhup mein baarish, kabhi din mein raat ka mohol ho  gaya hai.

#7.

Sawal aaj bhi kayam hai, ki iss mausam se ishq hai ya, ishq se mausam.

#8.

Barsat tham chuki hai, magar har shajar ke paas  itna to hai ki aapka daman  bhigo sake.

#9.

Pyaar dhundhne  nikle the ghalib, baarish ho gayi. Aur fir hum waapis PubG khelne  baith gaye.

#10.

Uss aasman aur mera aalam ek sa hai, fark itna hai ki woh khul kar ro sakta hai.

#11.

Mat garaj ae baadal itna zor se, mele babu ko dal  lagta hai.

#12.

Baarish ki boondo mein hai mahak ek bachpan ki, naav chalaate the hum kabhi kaagaz ki Ab to baarish mein bheege zamaana ho gaya, boondo se bachake  nikalna hai ab aadat si.

#13.

Wo bachpan wali baarish jisme fir se bheeg kar nachne ka man ho jae, Wo khali kagazon ki khushiyon se bhari naav, hum fir se chalayen, Fir hum dosto ke sath itna bhagen ki sansein bhar aaen, Kash fir se woh bachpan  wali baarish ho jae.