Dreams are basically comprised of our considerations, wants, desires and every one of those things that the heart couldn’t accomplish. Those unfulfilled wants and desires are remarkably incredible and urdu shayars and artists have been proficient at breathing soul into our broken dreams with their lovely words.

Here are 12 excellent shayaris on dreams that will bring you into the universe of your subliminal imagination and wonder.

#1.

Khwaab hote hain dekhne ke liye, Unn mein jaa kar magar raha na karo

#2.

Tumhare khwaab se har shab lipat ke sote hain, Sazaayein bhej do humne khataayein bheji hain

#3.

Kabhi jo khwaab tha woh paa liya hai, Magar jo kho gai woh cheez kya thi

#4.

Kaisa jaadu hai samajh aata nahin. Neend meri khwaab saare aap ke

#5.

Ab judaai ke safar ko mere asaan karo, Tum mujhe khwaab mein aa kar na pareshan karo

#6.

Aur toh kya tha bechne ke liye, Apni aankhon ke khwaab beche hain

#7.

Usi ke khwaab the saare usi ko saunp diye, So woh bhi jeet gaya aur main bhi haara nahin

#8.

Khawaab kya tha jo mere sar mein raha, Raat bhar ek shor sa ghar mein raha

#9.

Khwaab hi khwaab kab talak dekhun, Kaash tujh ko bhi ek jhalak dekhun

#10.

Yahi hai zindagi kuch khwaab, chand ummeedein, Inhi khilono se tum bhi behel sako toh chalo

#11.

Suna hai khwaab muqammal kabhi nahin hote, Suna hai ishq khata hai so kar ke dekhte hain

#12.

Zindagi cheen le bakshi hui daulat apni, Tu ne khwaabon ke siwa mujh ko diya bhi kya hai