Each voyage at last comes to an end and with that, all the clashing experiences transform into life-changing recollections and memories. Despite the fact that it makes you feel empty in the chest, you acknowledge the end and say goodbye to the love which once gave the most important reason to your life.

Here are 10 shayaris devoted to the ones who let go of their loved ones but clutched the recollections.

#1.

Alvida keh kar jo dete ho mere dil  ka jawaab, Aa padi mushkil ki kya ho aisi mushkil  ka jawaab

#2.

Woh alvida ki rasm  bhi ajeeb thi, Uska paththar sa chehra kabhi bhoolta nahin

#3.

Haseen yaadon  ke chaand ko alvida keh kar, Main apne andhere  kamre mein laut aaya

#4.

Kaleja reh gaya uss waqt phat kar, Kaha jab alvida usne palat kar

#5.

Ek din kehna hi tha ek dusre ko alvida, Aakhirash 'Salim' juda ek bar toh  hona hi tha

#6.

Azizo aao ab ek alvidaai jashn  kar lein, Ki iske baad ek lamba safar  afsos ka hai

#7.

Ghar mein raha tha kaun ki rukhsat kare humein, Chaukhat ko alvida kaha aur chal pade

#8.

Bade guroor se woh alvida keh ke  chale the, Phir na jane kyun mud mud ke dekhte  rahe

#9.

Ajeeb shakhs tha khud alvida kaha lekin, Har ek shaam  mera intezaar karta tha

#10.

Nazm ki kitaab se Sookhi yaadon ko alvida karna chahta hoon, Apni pehli mohabbat ko yaad karke kehkahe lagana  chahta hoon