Akbar Allahabadi, the well known Indian poet and author is still associated with his significant words and the parody that he used to bring in his composition. With only three collections of poems in his lifetime, he charmed individuals with his words. That is the true magic of words. If individuals love and can relate with what you try to convey to them, they will always remember it.

We have a portion of his best lines that are deep and will repudiate the deepest of your feelings. Take a look and let us know which one is your top choice.

1.

Gamza nahi hota  ki ishaara nahi hota,  Aankh unn se jo  milti hai toh kya  kya nahi hota.

2.

Hum aah bhi karte  hain toh ho jaate  hain badnaam,   Wo qatl bhi karte  hain toh charcha  nahi hota.

3.

Ishq naajuk mijaaj  hai behad, Akal ka  bojh utha nahi sakta.

4.

Duniya mein hun duniya ka talabgaar nahi hun,  Bazar se guzra hun kharidaar nahin hun.

5.

Aah jo dil se nikal  jayegi, Kya samajhte  ho ki khaali jayegi.

6.

Seene se lagaye tumhein armaan yahi hai, Jeene ka maza hai toh meri jaan yahi hai.

7.

Jo kaha maine ki  pyaar aata hai mujh  ko tum par, Hans kar kehne laga aur apko  aata kya hai.

8.

Jaan shayad farishte chhod bhi de,  Doctor fees ko na chhodenge.

9.

Kis naaz se kehte  hain wo jhunjala ke shab-e-wasl, Tum  toh humein karwat  bhi badalne nahin dete.

10.

Bass jaan gaya  main teri pehchaan  yahi hai, Tu dil mein  toh aata hai samajh  mein nahi.

11.

Akbar dabe nahin  kisi sultan ki fauj se, Lekin shaheed ho  gaye biwi ki nauj se.

12.

Budhon ke saath log kahan tak wafa karein, Budhon ko bhi jo maut na aaye toh kya karein.

13.

Bas jaan gaya main  teri pehchan yahi hai,  Tu dil mein toh aata hai samajh mein nahin aata.

14.

Dil woh hai ki fariyad  se labrez hai har waqt, Hum woh hain ki kuch munh se nikalne nahin dete.

15.

Coat aur patlun jab  pehna toh mister ban gaya, Jab koi taqrir  ki jalse mein leader  ban gaya.

16.

Duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun, Bazar se guzra hun khariddar nahin hun.

17.

Haya se sar jhuka  lena ada se muskura  dena, Hasinon ko bhi  kitna sahi hai bijli  gira dena.

18.

Log kahte hain badalta hai zamana sab ko, Mard woh hain jo zamane ko badal  dete hain.

19.

Meri ye bechainiyan  aur un ka kehna  naaz se, Hans ke tum  se bol to lete haiñ aur  ham kya karen.

20.

Mohabbat ka tum  se asar kya kahun,  Nazar mil gai dil dhadakne laga.

21.

Paida hua waqil  toh shaitan ne kaha,  Lo aaj hum bhi  sahib-e-aulad ho  gaye.

22.

Yahan ki auraton  ko ilm ki parvah nahin be-shaq, Magar ye  shauharon se apne  be-parvah nahin hoti.

23.

Sau jaan se ho jaunga raazi main saza par,  Pahle woh mujhe apna  gunahgar to kar le.

24.

Samajh mein saaf  aa jaaye fasahat is ko kahte hain, Asar ho  sunne vaale par balaghat is ko kahte hain.

25.

Puchha 'akbar'  hai aadmi kaisa,  Hans ke bole vo  aadmi hi nahin.

26.

Mazhabi bahas  main ne ki hi nahin, Faltu aqal mujh  mein thi hi nahin.