There is something about romantic poems which hits us right in the chords. The vast majority of us have experienced passionate feelings for, have had those long days of partition and that is it. When life puts us into such circumstances where we understand that love isn’t about each one of those extravagant days, there are numerous peaks and troughs.

And, on the off chance that you can stroll through them, you are a genuine warrior. Here are a few statements by Instagrammer Ronak Tank otherwise known as Abhivyakti who is a 25-year-old from Australia. These quotes will truly show you the dark side of loving someone so deeply.

#1.

Hawas silvatein nikaal  ti rahi bistar ki, Mohabbat takiye par gire  baal dekhti rahi.

#2.

Pankhon ne parindon mein  udaan daal di,  Maine do paise kama baap  mein jaan daal di.

#3.

Yeh jo chal raha hai  bass dil bahal raha hai  ishq toh maine bass  kitaabon mein padha hai.

#4.

Yeh ruswayi jo mili mujhe, lagta hai teri mohabbat ka byaaj hai, Tere sheher ko raas nahi  aati ishq ki hawaein, Mere sheher ka toh rang  hi aashiq mijaz hai.

#5.

Zaruri nahi ki rishta  jismaani ho sada, Maine khwabon mein  chhua hai tujhe  ehsaas bann kar.

#6.

Tanha hain lekin baat-baat  par rote nahi hain,  Aaj kal log jaise dikhte  hain waise hote nahi hain.

#7.

Khol liya dhakkan, Jaam utar raha hai zara zara  yeh bhi kya raat, Botal khaali aur dil bhara bhara.

#8.

Kuch khwaab maine tode kuch  khwaabon me mujhe toda, Kashmakash-e-zindagi ne  kahin ka naa chhoda.

#9.

Ghamon meion uljha de  zindagi yaa shaad kar de, Aee ishq ya toh mujhe qaid  kar de yaa azaad kar de.

#10.

Jawaab dhundh rahe hain sawal mere, Abhi khafa nahi huye hum, Abhi dost nahi badle maine, Abhi bewafa nahi huye hum.

#11.

Mujhe thukra bann fakeer gaye ho tum, Suna tawaif ke mohalle  mein fir gaye ho tum, Jhuthe waade wafa ke kiye laakhon, Ek jism ki khaatir kitna  gir gaye ho tum.

#12.

Tere piche ek umar chhod aaya, Khwaabon ka fala foola shazar chhod aaya, Naa tu gali se guzre naa mohabbat jaage, Main tere pados waala ghar chhod aaya.

#13.

Unchein parvaton pe  asman girte dekha hai,  Yeh toh kuch nahin maine  insan girte dekha hai.

#14.

Hum aur tum kahin baith  kar baat karte hain,  Yeh ishq ke masale narazgi  se hal nahin hote.

#15.

Jeb khali thi fir bhi  muskurata raha,  Maine papa se bada  funkar nahin dekha.

#16.

Pyaj ki tarah parton  mein khulta hai,  Insan pe jaldi aitbar  mat karna.

#17.

Suno mohabbat ho  gai hai tumse,  Ek zara si baat hai  maante kyun nahi.

#18.

Main dusron ko jeena  sikha raha hun,   Magar main khud hi galat  jaa raha hun.

#19.

Ek aadat hai mujhe  ruth jaane ki,  Ek aadat nahin  mujhe manane ki.

#20.

Mera kirdaar bina ishq  ke jachega kya,  Agar khud se tumhe nikal  dun toh bachega kya.

#21.

Jab bhi unse mile,  gale mile Fir kaahe ka  shikwa kaahe ke gile.

#22.

Bahut socha tha talluk  khatam karne ka,  Kehna apni jagah karna  apni jagah.

#23.

Abhi samay hai sulajha  lo sare masle,  Dil mera kahin Kashmir  naa ho jaaye.

#24.

Yaadein agar kamzori  banein Toh nafrat mein badal lo,  Usse bhi behtar hai mohabbat  Hone se pehle sambhal lo.

#25.

Ek main, mere kharche  aur zamane ke taane,  Baap ne bhi sir pe kya kya  utha rakha hai.

#26.

Sabke liye waqt nikal rakha hai,  Ishq karna filhal taal rakha hai.

#27.

Maafinama taiyar kar  rakha tha maine bhi,  Yakeen tha kasur  mera hi niklega.