Everything in this world is by all accounts so unique when you are a kid. Those cheerful days and honest minutes, all bode well today and our hearts can simply ache for them to return.

Here are 15 shayaris that will give you a chance to remember your childhood days with all its appeal and substance.

#1.

Mere rone ka jis mein kissa hai, Umar ka behtreen hissa hai

#2.

Ae umar agar dum hai  toh kar de itni si khata, Bachpan toh cheen liya bachpana cheen ke bata

#3.

Kaash main laut jaoon bachpan ki waadi mein, Na koi zaroorat thi na koi zaroori tha

#4.

Sukoon ki baat mat kar ae dost, Bachpan vala itvaar ab nahi aata

#5.

Aata hai yaad mujhko woh school ka zamana, Woh dosto ki sohbat woh kahkahe lagana

#6.

Badi hasrat se insan bachpane ko yaad karta hai, Ye phal pak kar dobara chahta hai kham ho jaaye

#7.

Ek haathi, ek raja,  ek rani ke bagair, Neend bachchon ko nahi  aati kahani ke bagair

#8.

Udne do parindo ko abhi shokh hawa mein, Phir laut kar bachpan ke zamane nahi aate

#9.

Umar ne talashi li toh jeb se  lamhe baramad hue kuch gam ke the, kuch nam the,  kuch toote, Bas kuch hi sahi salamat mile jo bachpan ke the

#10.

Dekh ek bachche ko hasta hua main bhi muskurane laga, Phir se bachpan mein jeene ka ehsaas mujhe lalchane laga

#11.

Zindagi phir kabhi na muskurai bachpan ki tarah, Maine mitti bhi jama ki khilone bhi le kar dekhe

#12.

Kaun kahe masoom humara  bachpan tha, Khel mein bhi to aadha aadha  aangan tha

#13.

Bachchon ke chhote hathon ko chand sitare chhune do, Char kitaben padh kar yeh bhi hum jaise ho jayenge

#14.

Maine bhi bachpan mein ek naksha banaya tha, Magar zindagi kitni alag nikli meri tasveer se

#15.

Jhooth bolte the phir bhi kitne sachche the hum, Ye un dino ki baat hai Jab bachche the hum