Urdu has a mystical appeal to it that no other dialect offers. Also, individuals are attracted to this beautiful dialect for its tasteful sensibilities and unparalleled modernity. Among the incomparable Urdu artists that we have, Wasim Barelvi is a prestigious name. His verse is loaded with love and enthusiasm and makes one grapple with the irritation and lonliness that accompanies heartbreak.

Here are 15 shayaris by Wasim Barelvi that beautifully discuss the torment of love:

#1.

"Koi ishara, dilaasa, na koi vaada magar, Jab aayi shaam, tera intezaar karne lage."

#2.

"Isi khayaal se palkon pe ruk gaye aansoon, Teri nigaah ko shayad saboot-e-gham na mile."

#3.

"Dukh apna agar humko batana nahi aata, Tum ko bhi toh andaaza lagana nahi aata. Main bhi use khone ka hunar seekh na paya, Usko bhi mujhe chhor ke jaana nahi aata."

#4.

"Aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahi, Tera hona bhi nahi, aur tera kehlaana bhi."

#5.

"Main iss ummeed pe dooba ki tu bacha lega, Ab iske baad mera imtehaan kya lega. Main bujh gaya toh hamesha ko bhujh hi jaunga, Koi chiraag nahi hoon ki phir jala lega."

#6.

"Meri wafaaon ka nasha utaarne wala, Kahan gaya mujhe hans-hans ke haarne wala, Bas ek pyaar ki baazi hai be-gharaz baazi, Na koi jeetne wala, na koi haarne wala."

#7.

"Bichharte waqt kisi ki aankh mein jo aata hai, Tamaam umra woh aansu bohot rulaata hai."

#8.

"Sirf tera naam lekar reh gaya, Aaj deewana bahut kuch keh gaya, Kya meri taqdeer mein manzil nahi? Faasla kyun muskura kar reh gaya."

#9.

"Udaasiyon mein bhi raste nikaal leta hai, Ajeeb dil hai, girun toh sambhal leta hai."

#10.

"Woh mere ghar nahi aata, Main uske ghar nahi jata, Magar in ehtiyaron se taalluq mar nahi jaata. Bure acche hon, jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain, Kisi ko saath duniya se koi lekar nahi jata."

#11.

"Mohobbat mein zara si bewafai toh zaruri hai, Wahi achcha bhi lagta hai jo waade tod deta hai."

#12.

"Woh jhoot bol raha tha badey saliqe se, Main aitbaar na karta, toh aur kya karta."

#13.

"Ek judaai ka woh lamha ki jo marta hi nahi, Log kehte hain ki sab waqt guzar jaate hain."

#14.

"Tujhe paane ki koshish mein, Kuch itna kho chuka hun main, Ki tu mil bhi jaaye agar, Toh ab milne ka gham hoga."

#15.

"Kis kaam ki rahi ye dikhaave ki zindagi, Waade kiye kisi se, guzaare kisi ke saath."