If you’re in love with poetry and literature, Sahir Ludhianvi is a name that would not resemble an outsider to you. He is a prestigious Hindi and Urdu author. He has additionally composed numerous acclaimed verses of Bollywood melodies that despite everything we want to sing. Conceived as Abdul Hayee, he is otherwise known as the only feminist poet that we had amid his times. His literary interest and genius spanned over a lot of topics including politics, patriotism, heartbreak and all things that other poets of that time never touched.

Here are some of his heart touching couplets and a few verses of famous melodies composed by him.

#1.

Tujhe bhula denge  apne dil se Ye faisla  toh kiya hai lekin Na  dil ko maalum hai na  hum ko Jiyenge kaise  tujhe bhula ke.

#2.

Dekha hai Zindagi  ko kuch itna qarib se  Chehre tamam lagne  lage hain ajeeb se.

#3.

Tum mere liye ab  koi ilzaam na dhundho  Chaha tha tumhein ek  yahi ilzaam bohot hai.

#4.

Aap daulat ke tarazu  mein dilon ko tolein Hum  mohabbat se mohabbat ka sila dete hain.

#5.

Phir kho na jayein  hum duniya ki bheed  mein  Milti hai paas aane  ki mohlat kabhi kabhi.

#6.

Kabhi khud par  kabhi haalat par rona  aaya Baat nikli toh har  baat par rona aaya.

#7.

Main pal do pal ka  shayar hoon Pal do  pal meri kahani hai,  Pal do pal meri hasti hai   Pal do pal meri jawani hai.

#8.

Tu Hindu banega  na musalmaan banega Insaan ki aulaad hai  Insaan banega.

#9.

Apni tabahiyon ka  mujhe koi gham nahi  Tumne kisi aur ke saath  mohabbat nibha toh di.

#10.

Pyaar par bass toh  nahi hai mera lekin phir  bhi Tu bata de ke tujhe  pyaar karu ya na karu.

#11.

Aurat ne janam diya  mardon ko mardon ne  usse bazar diya Jab ji  chaha masla kuchla jab  ji chaha dhutkar diya.

#12.

Abhi zinda hun  lekin sochta rehta hun  khalvat mein Ki ab tak  kis tamanna ke sahare  ji liya main ne.

#13.

Hum toh samjhe the  ki hum bhul gaye hain  unn ko Kya hua aaj yeh  kis baat pe rona aaya.

#14.

Main zindagi ka saath  nibhata chala gaya Har  fikr ko dhuein mein  udata chala gaya.

#15.

Tu mujhe chhod ke  thukra ke bhi ja sakti hai  Tere hathon mein mere  haath hain zanjir nahin.